Thokhar khana jaruri tha!!!


Wo sab Jo sunti thi logo se ki koi apna nahi hai,

Sab khudgarj hai bs sun hi leti thi...

Yun kabhi bharosa nahi kiya. 

Wo kya hai na ...

Chhoti si dunia me thi, bs pyar hi pyar dekha tha.


Laachari, beimani, dhokadhadi jesi cheezon se thi me anjaan,

Or shayd isi bat ne leli thi meri jaan.


Are jaruri hai kya sab ek jese ho, 

Sab bharosa nahi todte.

Yahi soch lekar khwaab bunne m nikal padi,

Apne bharose ka gubbara liye.


Koi mila, apna laga, karib aaya, aadt bna...

Or shyd mne use apne bharose ka gubbara pathhar samjh k de diya...

Ha abhi tk mene bas pyar hi pyar dekha tha.


Ab aata h kahani ka wo hissa, 

Jiske liye sab samjha rahe the pr...

Samjhne ko ye dil taiyar na tha, 

Kyunki "Thokar khana jaruri tha".


Arey ha wahi hua.

Aesa kese hogya, 

Nahi ye to alag tha na, 

Use har ek ne accha btaya tha ...

Lekin ab meri daastan lekar jau bhi kahan?


Bs ek bar kosish kar leti hu, 

Shayad koi galat fehmi hui ho, 

Shayad mere bharose ke gubbare me hava abhi bhi bachi ho.


Pr nahi na gubbara to fut chuka tha...

Thokar khakr ab ye dil tuta tha, 

Waqt lga pr haan,

Fir sambhalne ko taiyar ho raha tha.


Lekin ab us aawaj ka kya kru me, 

Jo roz-roz mere andar se aati h.

Ki wo ek aesa tha to kya,

Puri duniya bhi aesi hojati h.


Pata nahi...

Pr umeed hai abhi bhi,

Phir bhi ek bar ruk jaati hu,

Is duniya ki bhaagdor se alag kahin.


Ab bhi bs isi umeed me jee rahi hu,

Ki mera bharosa ek din jarur kaayam hoga.

Dekhna sui ghusane wala nahi,

Gubbare me hawa bharne wala jarur mere pas hoga.


Bs isi umeed m saja rakha h mne bharose ki hava bhare ek or gubbara,

Ki shyd ye ek din jarur aasman me ud skega.


Pr haan thokar khana jaruri tha.

Motiyon se bhari is dunia me, 

Heera jo dundhna tha.

Arey insaan ko smajhne ki kala seekhna aasan n tha na...

BS isliye Thokar Khana Jaruri Tha!!!